barsaat

kyo jab bhi tuje sochti hui

barsaat hoti hai,

baraste pani sa yaad judthi hai,

dil phir sochta hai tuje,

kya abhi bhi kuch baki hai,

har kushi hai tere pass,

phir bhi kyoi udassi mahsoos hoti hai,

dil ka ristha nahi hai ye,

phir bhi dil se nikalta kyoi nahi,

khali pan bartha kyo nahi,

shayad barastha pani ehsaas dilta hai, tu saath hai dur nahi………………………

 

By – Pallavi

some lovly shayari on dosti n love

HI guys n guls

check out some cool shayaris on my new blog related to Friends, love, Romantic, Friendship, SMS, Missing You,

http://www.love104.org/2007/05/09/some-lovly-shayari-on-dosti-n-love/

Adat Hai

Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein k Hamein Dusrey ki Adat hai

Tuu apne Sheesha-Gari ka na ker Hunar Zaya
Mai Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai

Wisaal mai b wohi Faasley Sarab k hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jage ki Adat hai

Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi!!
Na Wo Sakhi hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai

Ye Khood-Aziyati kab tak “FARAZ”
Tu b use na ker Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai

By: Ahmed Faraz

peeta hoon

nazaron se nazaaron ke jaam peeta hoon,
jab aaye mehfil me tera naam,peeta hoon.

har din na peeta yahaan main yaaron,
bas jab-jab dhalti ye shaam,peeta hoon.

saans lene ke siwa na koi kaam mujhe,
bas jab-jab hota koi kaam,peeta hoon.

tune jo humare dil se ki hai itni bewafaai,
to khud se uska le-le inteqam,peeta hoon.

lagataar na kabhi peeta hai ghayal,
har do lamha kar aaraam,peeta hoon.

bina tere ab kaise jiyega ye ghayal,
so apni maut ka kar intezaam, peeta hoon

kyun kartay ho..

toot kay bhi tum hamein yaad kyun kartay ho
zamanay say juda hokar hamein pyaar kyun kartey ho

hum tu teray bina jeena seekh gayein hain
phir hamaray naam ko apnay saath mansoob kyun kartay ho

hamaray dil kay zakham to abhi tak taaza hain
phir hamein yaad karkay ankhon ko ashk baar kyun kartay ho

jeevan kay ik ik moor pay tum yunhi
mujhe apna bana kar logon kay taaney kyun bardaasht kartay ho

meray dil kay darwaazey kab say teeray liye khulay hain
tum saamnay ka bajayey hamesha peechay say waar kyun kartay ho

meri ghazalein faqt teray liye hain
phir dil kay teeron say mera hi shikar kyun kartay ho..”

bahot udas hun mein

Hi all,

few days ago i received thi mail . really touching words …

Mujhe gale se laga lo, bahot udas hun mein,
Gham e Jahan se chuda lo, bahot udas hun mein,

Yeh intezar ka dukh ab saha nahin jaata,
Mujhe paas bula lo, bahot udas hun mein,

Meri har sans mein, milne ki pyas palti hai,
Sulagh raha hai badan aur ruhh jalti hai,

Bacha sako to bacha lo, bahot udas hun mein,
Bhatak chuka hun bahot zindagi ki rahon mein,

Mujhe aake chupa lo tum apni baahon mein,
Bin tere mar na jaun kahin,
Mera sawal na taalo, bahot udas hun mein.

By mail – Aditya

Tumko to pine ka bahana chahiye

Tumko to pine ka bahana chahiye,

kabhi khusi to kabhi gam ka, bahana chahiye.
kam padgai to chillana chahiye,

jaise pyasa ho aur pyas bujhna chahiye.
ye koun sa pyas aur kaisa pyas,

najar ke samne bas har botal
bhara dikhna chahiye..
khusi ho ya gam bas tume to
pine ka koi bahana chahiye…


Tere Saath Apna Ghar Basane Ka Khawab Dekha Tha,
Kya Pata Tha Mehkhane Ko Apna Ghar Banana Padega
Tere Saath Apni Tanhai Door Karne Ka Khawab Dekha Tha,
Kya Pata Tha Sharab Se Apni Tanhai Ko Door Karna Padega

Author : Unknown

soem shayaris

Hi all,

after a long time posting some shayaris

katl kar ke voh katil ka naam puchte hain,
dard dekar voh dava ka naam puchte hain,
mar gaye hum unki is ada par,
hokar mere khuda vo mere khuda ka naam puchte hain!!!


Har Kisi Se Zyada, Bus Khuda Se Kum,
Hamain Itni Muhabbat Hai Tumse Sanam.
Ab shane Parain Ishq Main Jitne Sitam,
Tumhe Paana Hai Chaahe Jitne Ho Ghum.
Labon Ne Na Bola, Par Is Jahan Ki Kasam,
Agar Hota Jayaz, Pujte Tum Ko Hum.


jab bhi yaad ati hai muskura lete hai,
kuch palo k liye gum bhula lete hai,
kaise bheeg sakte hai aap ke palken,
aap ke hisse ke aansu to hum baha lete hai


Khud ko jalane ka intezaam kar liya
Humne nashe mein aisa kaam kar liya
Shaayad wo khush ho humaari diwangi se
Ye soch kar apne ko jahan mein badnaam kar liyaa


Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahi
ha magar dil ki sunai deti koi aahat nahi
suna suna sa hai, berang hai bazaar-e-zindagi,
kya nazaraa hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi


Hota hai ye kyon Dil dil toot jaate hai
chaho jinhe jaan se jyaada wo rooth jaate hai
Sajaate hai badi mehnat se hum khwabon ki duniya
Begaane aate hai aur usko loot jaate hai

Tu yaad no aye roz yahi jatan karti hu

Tu yaad no aye roz yahi jatan karti hu,
Tera khyaal na chu jaya dil ko,
Iss liya har kissi se dur rahti hu,
Tere loutne ka arrman nahi hai ab,
Phir bhi kyo unmeed rakhti hu,
Tere dil mei kuch nahi hai mere liye,
Yeh jante huya bhi tumse pyaar karti hu,
Muje pata hai dil nadan hai mera
Jo ek bewafa se pyaar karta hai,
Phir bhi bulna dene ki usse,
nakam koshish kiya karta hai……….

By – Pallavi

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Or Jhaank Kay Meri Aankhon Mein
Beetay Din Yaad Dilatey Ho

Mastana Hawa Kay Jhonkon Se
Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein
Do Ajnabi Haatoun Ka Milna
Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana
Sasoun Mein Sitarey Se Khilna

Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar
Takna Wo Mujhe Jatey Jatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana,
Chilman Kay Kareb Aatey Aatey
Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana,
Ek Aur Jhalak Paatey Paatey

Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir,
Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi
Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana
Humsayon Kay Dar Se Katrana,
Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana

Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon,
Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Mein
Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho,
Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon

Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun
Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey