Dil todna asan hai zaroor

Dil todna asan hai zaroor,
Par yaar ko manana asan nahi
Zindagi me pyaar hota hai zaroor, per pana zaroori to nahi,
Agar zindagi mai koi mil jaya jisse pyaar karo tum
To izhaar karna zarori to nahi,
Agar ho jaya to itna yaad rekhna
Pyaar se badkaar koi dusra nahi.

By – Pallavi Kothari

16 thoughts on “Dil todna asan hai zaroor

  1. accha lekhti hai aap,looking fwd for more n more……..

    Kanto ko chubana sikhaya nahi Jata
    Phool ko Khilna Sikhaya nahi Jata
    Koii ban jata hai Khud ba Khud
    Kisi ko apna Banaya nahi Jata

  2. Thanks a lot 4 your lovely comment…………

    kanto ki adat ho to jeena ashan hota hai,
    muskil to tab hoti hai jab phool chubate hai,
    muskil to tab hoti hai jab log apna ban kar bhi, anjan rahte hai……

  3. Wah Wah…………..

    zindagi ki rahoon may bele hi ranj ho, ek dost ka sath hi kafi hota and duk bhula dene ko aur sara akela pan ko dur karne ke liya…………

  4. jane wala to chala jata, kaun janta hai ki kuch sikha janta hai ya sab le jata hai…………

    zindagi ka kya aj hai kaal nahi………. phir bhi naam to chut jata hai……..

    waqt, waqt ki baat hai………..

  5. Kabhi akele me bethkar ye khayal ata he…
    ki har dum mujhe kyu wo hi yaad ata he…
    Jisne zakhm itne diye…
    Jisne sabhi vaade todd diye..
    Kya use bhi kabhi tanhai me koi gam satata he…

    Umra bhar ka sath nibhane ka kehte the jo…
    Wo chand lamho ka bhi sath na nibha paaye…
    Kya itna kamjor pyar hota he…..
    Kya kabhi use apne kiye p afsos hota he..

    Unhone apna daaman phoolo se saja liya…
    Humara Nata kaato se jodd diya…
    Aasma pe behtakar pal bhar me gira diya…
    Kya yahi usne mujhe meri wafao ka sila diya…

    Palat ke bhi na dekha ki hum mar gaye ya ji rahe…
    Kya yahi sab achhai ke naseeb me ata he…
    Uski yaad me mene kitne aasu bahaye…
    Kya wo bhi kabhi hum p zulm karke rota he…

    Hai is duniya me Khuda kahi???
    To kya yahi uske darbaar me Nyay hota he???
    Ki har ek begunaah gamo me rota he aur…
    Kasuwar sone ki sej par sota hai…

    Hum to usme bhi khush he….
    Na kabhi shikwa ki na shikayat ki…
    Har zakhm has kar seh gaye…
    Apne aasuo ko khud hi pi gaye..
    Par E-khuda itna reham zarur karna…
    Ye Hasin zulm kisi aur pe na karna…..
    na karna… na karna….

  6. What a nice feelings have u created in my heart!
    you know friend???
    Zindagi moahtaaj nahi manzilon ki, waqt har manzil dikha deta hai, kaun marta hai kisi ke liye, waqt sab ko jeena sikha deta hai.

  7. Jab sae chuta uska Saya hai ,sirf Gum nae hei sath nibhaya hai,Gum nahi uske bichad gane ka ,Gum hai Usnae Ulfat mein Galla dabaya hai .

  8. nice pallavi

    Hum wo nahi jo tujey gam me chhoad dengey
    Hum wo nahi jo tujhsey nata tod leyngey
    Hum to tere wo dost hai agar ,
    Teri sansey bhi tutaney lagey to apni sansey jod dengey

  9. thanks feeling and rajesh 4 ur lovely comments……

    and thanks MANNU….this one is for u

    pyaar me to har dil kush rahta hai, GUM ke saath jo muskura sake wahi sacha premi hota hai……..

    aur kisi ne thoda din phele muje kha tha, Saya to andera me saath chod dete hai………

  10. Hi Pallavi,

    woh saaya wali line kich is tarah hai
    ~*
    Yaad na karge to sataenge,Ruthoge to manaenge, Roayge to hasaenge,Dost hai hum tere Saaya nahi jo Andhere mein tera saath chod jayenge…
    ~*
    n yep this one for u

    Itni dosti naa karo ki bigad jaye hum.
    thoda danta bhi karo ki sudhar jaye hum.
    ho jaye gar humse koi khata to ho jana khafa,
    magar itna bhi nahi k mana nahi paye hum.

    ~*

    thanks rajesh , feeling ,Mannu ,Ravi Srivastava , Ravi , Julie Vora for comments

    Keep coming frends

    n this one for who failed in love for some reason

    Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
    zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
    kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
    zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho

Leave a comment